Tuesday, November 25, 2008

Duniya se umeed nahi,
Umeed pe duniya hai kayam.
Umeed lagaye kyun baitha hai Samir,
Ye duniya hai badi jaalim.

Tuesday, November 18, 2008

Aaj subah jab aankh khuli,
Dekha, batti jal rahi hai,
Laptop chalu hai,
Rajai bhi nahi odhi hai.

Achambha to ye hua,
Ki alarm bhi nahi baja tha.
Phir yaad aaya,
Arre raat ko padhna tha.

Aaj to test hai,
Uske pehle class mein bhi jaana hai.
Utha, batti bhujai,
Laptop band kiya,
Aur wapas so gaya.

Adhe ghante baad ek phone aaya,
Dost ne bola, chal nashta karte hain,
Maine kaha haan dus minute mein aata hun,
Taiyar ho jaoon, phir class jaana hai.

Pahunch gaye nashta karne,
Socha class ke baad aur test ke pehle padh lenge.
Aaram se phir nashta kiya,
Uthayi cycle aur nikal pade.

Raste mein unse mulaqat hui,
Maine wave kiya, unhone smile pass ki,
Samay ki pabandi thi, hum chalte rahe apni apni disha,
Socha maine, ab din zaroor guzarge achchha.

Department pahunche,
Thodi padhai shuru kari,
Sir ka intezaar kar rahe the,
Par wo aaye hi nahi.

Class cancel ho gayee,
Main wapas hostel aa gaya.
Sahi socha tha maine subah,
Ye bhi samajh mein aa gaya.

Aaram se baithkar padhai ki,
Phir khana khaya, class gaye.
Test shuru hua, diya,
Bahar nikle, khush hue.

Phir yaaron ke saath 
Chai peene chal pade,
Wahan phir se dekha unko,
Mann hi mann shukrguzar hue.

Din hamara achchha nikla,
Khushi unse baatna chahte hain,
Yehi tamanna hai rab se meri,
Kaash unka bhi din achchha nikla ho.

Thursday, March 20, 2008

Jab wo saamne aati hain,
Duniya tham si jaati hai,
Sirf unhe hi dekhta rehta hun,
Aankhein jam si jaati hain.

Chehre pe unke ek udasi hai,
Kyun unka mann yun bhari hai,
Kahi kuchh to galat hai,
Jo aankhon mein unke paani hai.

Koshish chahe jitni karun,
Unse baat na kar pata hun,
Kya unko main bolun,
Ye baat na samajh aati hai.

Par aaj unke chehre ko,
Maine pehli baar khilkhilate dekha,
Aankhon mein unke chamak dekhi,
Honton pe badi si muskan dekhi.

Hum unhe jaante nahi,
Par pata nahi kyun,
Unko haste dekha to,
Khud ko bhi humne haste dekha.

Friday, January 18, 2008

Kholo in aankhon ko, dekho,
Hai duniya badi pyari.
Rona band hua, hanso,
Hai zindagi bachi saari..

Chahe samajh lo ek dava ise,
Kabhi meethi, kabhi khari.
Jiyo har pal muskurakar,
Lamha - lamha, baari - baari..

Bhula do saari yaadon ko,
Koi baat na rahe jaari.
Samajh lo ab sab theek hai,
Jo galtiyan, li sudhari..

Khushi se bhara rahega sama,
Mann kabhi na hoga bhari.
Kam na padegi kabhi,
Hai ye apni yaari.

Friday, June 29, 2007

Koi jaadu sa hai unki chaal mein,
Phaans liya hai humein apne jaal mein.
Jee chahta hai sawaarun unke baalon ko,
Aur chumta rahu sirf unke gaalon ko.
Wo hi to hain mere khayal mein,
Par milati nahi wo humein apne taal mein.
Samajh nahi aata kya karun main,
Ki daal le wo humein apne dil-jigar-jaan mein.
Sapnon mein tum aati ho, khushiyan bhi saath lati ho,
Dil mein umang jagati ho, pyar karna sikhati ho.
Dilodimaag pe chhati ho, din raat humein satati ho,
Kabhi kabhi hasati ho, phir kabhi rulati ho.
Sirf tum hi humein bhaati ho, kyun apne ko naa samjhati ho,
Maloom hai humein hi chahti ho, par kehne se ghabraati ho.
Is waqt ko thaam lo, tumhe aage le jaa raha hai,
Duur chale gaye ho, yakeen nahi aa raha hai.

Aasman mein jaane kahan se, ghana baadal chhaa raha hai,
Par phir bhi mujhko kahin se, chaand nazar aa raha hai.

Na jaane kahaan pe koi, ek madhur geet gaa raha hai,
Mere mann ko har pal wo, teri yaad dila raha hai.

Tere siva ab mujhe, koi khayal nahi raha hai,
Sach hai ye, tere bina, chain bhi mera naa raha hai.