Monday, February 23, 2009

Wo itni gehri neend mein so rahi hain,
Hum unhe dekhkar hi raat bita lenge,
Mann to karta hain unko jagaye chutki katkar,
Par dil ke armaan  zara sabr kar lenge.

Friday, February 13, 2009

Na jaan, na pehchaan, hum tumhare mehmaan,
Mehfil khub sajayi hai tumne mezbaan.
Pata nahi tha aap samjhenge ki kam hui aapki shaan,
Dil kyun toda, le lete hamare pran.

Abhi to mile the, abhi to aapko jaana bhi nahi,
Pata hi nahi chala, kab pyar ho gaya.
Par kismat bhi dekho, kya ajeeb khel khelti hai,
Mera humsafar na jaane kahan kho gaya.
Kai baar aankhein dokha kha jaati hain,
Mann kuchh kehta hai, dil kuchh aur,
Tumse to sirf kuchh pal maange the,
Par dil par kahan chalta hai kisi ka zor.

Ek chhoti si bhul ki, itni badi sazaa,
Na dete, to kya pata kya sama hota,
Aaj saath saath hote, duur hi sahi,
Par mann aur dil ka khwab ek hi hota.
Aap jab se aaye meri duniya mein,
Sab badal gaya.
Dosti yaari, ghar khandaan,
Main sab bhool gaya.

Woh kehte hai na,
Jo hota hai achchhe ke liye hota hai,
Aapse kabhi guftagu to na hui, par
Main shayar ban gaya.
Usse ghanto baat karta hun,
Phir bhi lagta hai baat hi nahi hui,
Uske saare raaz jaanta hun,
Phir bhi shayad use jaanta hi nahi.

Uske saath bitaye lamhe mujhe hamesha rahenge yaad,
Dua hai uske chehre pe rahe muskaan saalo saal.
Wo hai mere bachpan ki yaar,
Usse main aaj bhi karta hun pyaar.

Thursday, February 12, 2009

Yun pedon ke peechhe se chhup chhup ke na dekho ae chand,
Patton ke beech se aa rahi hai chandni.
Doston ke saath hi baitha hun,
Saamne aao gar chah hai milne ki!