Friday, June 29, 2007

Koi jaadu sa hai unki chaal mein,
Phaans liya hai humein apne jaal mein.
Jee chahta hai sawaarun unke baalon ko,
Aur chumta rahu sirf unke gaalon ko.
Wo hi to hain mere khayal mein,
Par milati nahi wo humein apne taal mein.
Samajh nahi aata kya karun main,
Ki daal le wo humein apne dil-jigar-jaan mein.
Sapnon mein tum aati ho, khushiyan bhi saath lati ho,
Dil mein umang jagati ho, pyar karna sikhati ho.
Dilodimaag pe chhati ho, din raat humein satati ho,
Kabhi kabhi hasati ho, phir kabhi rulati ho.
Sirf tum hi humein bhaati ho, kyun apne ko naa samjhati ho,
Maloom hai humein hi chahti ho, par kehne se ghabraati ho.
Is waqt ko thaam lo, tumhe aage le jaa raha hai,
Duur chale gaye ho, yakeen nahi aa raha hai.

Aasman mein jaane kahan se, ghana baadal chhaa raha hai,
Par phir bhi mujhko kahin se, chaand nazar aa raha hai.

Na jaane kahaan pe koi, ek madhur geet gaa raha hai,
Mere mann ko har pal wo, teri yaad dila raha hai.

Tere siva ab mujhe, koi khayal nahi raha hai,
Sach hai ye, tere bina, chain bhi mera naa raha hai.

Monday, April 30, 2007

Saalon baad jab hui mulakat, baith ke dono ne ki kai baat,
Jab samay se hue agyaat, tab phir se hui barsaat.

Baar baar aaye ek doorse ke paas, ho gaye wo jeewan mein khaas,
Beet gaye na jaane kitne maas, par mann hi mann rahe dono udaas.

Ek ka dil hua bekaraar, par kiya na doosre ne ikraar,
Charon taraf hoke sansaar, usko dikhta sirf andhkaar.

Par maani nahi usne haar, tairta raha nadi ke paar,
Kudrat ka tha yahi uphaar, dono ko ant mein ho gaya pyaar.
Woh dekh kar humein, sharma jaate hain yun,
Jaise badalon ke peeche chhupta hai chand.

Aayein na paas, to raah dekhte hain yun,
Jaise dekhta hai lautta rahi, apna makaan.

Nazaren daal humpar chup ho jaate hain yun,
Jaise chup hota hai, aane ke pehle toofan.

Duur chale jaayen to sochte hain yun,
Jaise sochta hai woh, jo hai buddhimaan.

Hamari baaton ko wo, jaanchte hain yun,
Jaise jaanchta hai seema-kar nirikshak, samaan.

Maloom hai humse pyar karte hain yun,
Jaise karta hai bharat maa se, sena ka jawaan.
Samandar ki talaash mein, ab baha nahi jaata,
Seene ke is dard ko, ab saha nahi jaata,
Aise tumse door, ab raha nahi jaata,
Par phir bhi tumse, kuchh kaha nahi jaata.

Zindagi mein kisi aur ka pyar, bhara nahi jaata,
Dharti pe ek bhi kadam, dhara nahi jaata,
Meri madad karo yaaron, kuchh kara nahi jaata,
Aisa paagal premi hun, ki mara bhi nahi jaata.
Zindagi guzar to rahi hai, par tere bina adhuri hai,
Tumhare par tiki rehna, nazar ki kamzori hai,
Jab kuchh nahi dikhta, mujhe tum dikhti ho,
Jab tum nahi dekhti, tab aankhein hoti bhari hain.

Zindagi guzar to rahi hai, par na din hai na raat,
Zubaan pe tere siva, nahi hai kuchh aur baat,
Jab kuchh nahi bolta, mujhe teri hi awaaz sunti hai,
Jab tum nahi bolti, tab aankhein hoti bhari hain.

Zindagi guzar to rahi hai, par mann kahin lagta nahin,
Tujhe yaad kiye bina, ek bhi lamha guzarta nahi,
Tujhe khush rakhne ki, main bahut koshish karta hun,
Par kabhi jab galti hoti hai, tab aankhein hoti bhari hain.

Zindagi guzar to rahi hai, par lagne laga hai aisa ab,
Aisi zindagi ka fayda kya, ki pata nahi aap kahan hain kab,
Tujhe bhulana mumkin nahi, bin tere mujhe jeena nahi,
Tujhse poochh bhi nahi pata, tab aankhein hoti bhari hain.
Taazi si ek kali hai, khushbuon ka jhonka hai,
Woh hamari jaanejaan, bahut khoobsurat hai.

Chand ka tukda, nahi, usme to daag hai,
Bedaag ek chand jaisi uski soorat hai.

Saadgi se bhari hai, sundarta ki pari hai,
Phoolon jaisi pyari pyari wo ek moorat hai.

Ek baar muskurakar lag jaaye gale humse,
Bas ab isi ki, humko zaroorat hai.
Bahut din ho gaye hain, tum kahin nazar nahi aa rahe ho,
Jahan sochta hoon dekhoonga tumhe, wahan bhi nahin hote ho.
Kahan chale gaye ho, kya tum humse chhup rahe ho,
Koshish chahe jitni karlo, won kabhi nahin kar sakte ho.

Gar kabhi chhup bhi jaao kahin, hum vaada karte hain,
Ek jhalak ke liye, tumhe ghor andhere mein bhi dhoodh lenge.
Gar kabhi dur chale jaao kahin, hum vaada karte hain,
Ek mulakat ke liye, panchee bankar tum tak pahaunch lenge.

Ye khel na khelo hamare saath, darr lagta hai,
Kahin koi galat kadam, na humse uth jaye.
Aisa kuch naa karo ki baad mein hum dono pachhtaayein,
Aisa kuch naa karo ki dukh mein hum aasun bahayein.

Jaisa kahoge, hum vaisa hi karenge, chahe vo namumkin ho.
Hamesha khush hum rakhenge, chahe kitna bhi kathin ho.
Khuda ke bhi dushman ho jayenge, ab tum hi hamare khuda ho,
Aisa kabhi naa hone dena, ki tum humse juda ho.
Main gunehgaar nahin, par gunaah to mann ne karaayaa hai,
Main kaatil bhi nahin, par dil to maine churaayaa hai.
Main saathi nahin, par saath to maine nibhaayaa hai,
Main dushman bhi nahin, par dil to maine dukhaayaa hai.
Main aashiq nahin, par ishq to maine aazmaayaa hai,
Main majnu bhi nahin, par pyaar to maine jataayaa hai.
Main hoshiyaar nahin, par samajh to mujhko aayaa hai,
Hai aasaan nahin, par dil ki baat ko farmaayaa hai.
Pichhle kuch dino se neend nahi aa rahi hai,
Bistar par pade hue sirf karvat badaltaa rehtaa hun.
Kuchh bhi khayaal mann mein nahi hotaa hai, phir bhi,
Na jaane kis uljhan mein khoya rehtaa hun.
Sab so rahein hote hain, phir bhi,
Kuchh bolnaa sunnaa chahtaa hun.
Par bolun bhi kaise, jab pataa nahi hai ki,
Kyaa hai woh, jo main chahta hun.
Mujhme kuchh to badlaa hai,
Haan, itnaa to main jaantaa hun.
Par aisaa lagtaa hai mujhko ki,
Main apne ko hi naa samajhtaa hun.
Kisi raat baitho saath, to shaayad,
Sunaa sakoongaa tumhe kahaan bhatkaa hun.
Ho saktaa hai ki iske liye,
Tumhaari hi raah main taktaa hun.