Saturday, August 17, 2013

Zindagi mein hua, ek chamatkaar hai,
Rishta ye bana, ekdum shaandaar hai,
Dil hamara kehne ko, ye bekaraar hai,
Karna nahi ab, koi intezaar hai.

Masti mein nahi, mann samajhdaar hai,
Aera gaera nahi, wo superstar hai,
Main karta hun us se, wo karta mujhse pyaar hai,
Lakhon nahi, croron mein ek, mera yaar hai.


Monday, January 2, 2012

In Dilemma - SS: My Choicest Confusions
Yunhi kahin Bhatak rahe hain
Kuch hai jo milta nahi humein.
Shayad tum saath chalo,
To safar asan ho jaye..
My response:
Zara sa ruk ke dekho,
Kya khoya, kya paaya,
Main saath hi to hun tumhare,
Jaise ki tumhara saaya.

Tuesday, August 23, 2011

Road kum gaddhe jyada, bijli kum katiya jyada,
Kaam kum baatein jyada, paani kum chai jyada.

Hindi nahi, English nahi, chhote chhote desh ho jaise,
Kannada, Telugu, Tamil, Malayalam, Marathi, Gujrati, Bangali, Punjabi.

Kashmir ab tak behaal hai, UP mein maya jaal hai,
Andhra ko Telangana ka khayaal hai, Gujarat Modi ka kaamal hai.

Traffic signal todna shaan hai,
Police wale dabangg, jaise Salman hain,
Anna ki bhukh se saare neta pareshaan hai,
Itna hone ke baad bhi, hamara bharat mahan hai.

Tuesday, August 2, 2011


Aasman ko chhune ki ichha rakhte ho,
Zameen par kam tanhaiyan nahi hai.
Yaad rakhna jitna upar hoge,
Utni hi neeche gehraiyan bhi hai.

Tuesday, August 24, 2010

"Phir milenge" kaha tha tumne,
Dost, main intezaar kar raha hun...

Friday, January 29, 2010

Roz raat ko aaj kal,
Lag bhag char saade char baje,
Meri neend khul jaati hai.

Soch me pad jata hun,
Kya main sapna dekh raha tha?
Nahi, kisi ne light jala di thi.

Par main to, kamra
Andar se lock karke sota hun,
Kya maine light on chhod di thi?

Ek baar ko sochta hun,
Kahin ye filmo ki tarah,
Upar wala mujhse kuchh bolne aaya hai.

Par koi awaaz to sunti nah hai,
Bas roshni hi roshni hoti hai,
Safed, safed, chamakti roshni.

Phir hosh aata hai mujhko,
Wo chand hai na,
Roz aata hai mujhse milne.

Meri khidki se jhankta hai,
Lagta hai mujhko, jaise
Mujhe dekh kar muskura raha ho.

Roz raat ko aaj kal,
Lag bhag char sade char baje,
Meri neend khul jaati hai.

Thursday, August 13, 2009

Ek baar ke liye aisa laga,
Maano aasman sir pe aa gira,
Pairon ke neeche dharti phat gayi.

Ek baar ke liye aisa laga,
Saanse chal rahi thi meri, par
Jaise dil ki dhadkan band ho gayi.

Ek baar ke liye aisa laga,
Sab taraf roshni hai, par
Phir bhi kuchh dikh nahi raha.

Ek baar ke liye aisa laga,
Raasta saaf tha magar, ekdum se
Usme kaante ug gaye.

Ek baar ke liye aisa laga,
Bagiya mein kali, khili
Nahi ki murjha gayi.

Ek baar ke liye aisa laga,
Badal mein bijli kadki, aur
Mere badan pe aa giri.

Ek baar ke liye aisa laga,
Maine kuchh kiya hi nahi, phir bhi
Mujhse galti ho gayee.

Ek baar ke liye aisa laga,
Meri vajah se usko, na jaane
Kaun kaun se dard mile.

Ek baar ke liye aisa laga,
Mera yaar mujhse bichhad gaya,
Par aisa hua nahi...
Aisa ho hi nahi sakta...