Friday, June 29, 2007

Koi jaadu sa hai unki chaal mein,
Phaans liya hai humein apne jaal mein.
Jee chahta hai sawaarun unke baalon ko,
Aur chumta rahu sirf unke gaalon ko.
Wo hi to hain mere khayal mein,
Par milati nahi wo humein apne taal mein.
Samajh nahi aata kya karun main,
Ki daal le wo humein apne dil-jigar-jaan mein.
Sapnon mein tum aati ho, khushiyan bhi saath lati ho,
Dil mein umang jagati ho, pyar karna sikhati ho.
Dilodimaag pe chhati ho, din raat humein satati ho,
Kabhi kabhi hasati ho, phir kabhi rulati ho.
Sirf tum hi humein bhaati ho, kyun apne ko naa samjhati ho,
Maloom hai humein hi chahti ho, par kehne se ghabraati ho.
Is waqt ko thaam lo, tumhe aage le jaa raha hai,
Duur chale gaye ho, yakeen nahi aa raha hai.

Aasman mein jaane kahan se, ghana baadal chhaa raha hai,
Par phir bhi mujhko kahin se, chaand nazar aa raha hai.

Na jaane kahaan pe koi, ek madhur geet gaa raha hai,
Mere mann ko har pal wo, teri yaad dila raha hai.

Tere siva ab mujhe, koi khayal nahi raha hai,
Sach hai ye, tere bina, chain bhi mera naa raha hai.