Wednesday, January 28, 2009

Is char diwari mein kaid rakha hai apne aap ko,
Aur kehte ho hum azaad hain.
Roz khabren padhte ho doosron ke likkhe hue,
Aur kehte ho hum azaad hain.

Laakhon ka dil churaye baithe ho,
Aur kehte ho humara dil azaad hai...
Galat na samajhna, shabdon ka khel hai ye,
Kam se kam humara likhna azaad hai.

Sunday, January 18, 2009

Har pal samay badh raha hai,
Dharti ghoom rahi hai, suraj jal raha hai,
Kaise rakhe kuchh bhi kaabu mein,
Zamane mein sab badal raha hai.

Saturday, January 17, 2009

Jo ho shikve gile, sab bhula do,
Chhod ke saare garaj, gale milo,
Chahe maut ko dhoka de do, 
Par jaane ki zidd na karo.

Zindagi khul ke jiyo,
Sada muskurate raho,
Sab gam duur ho jayenge,
Khush rehna to seekho.

Mann ki baat mann mein mat rakkho,
Jis jis se kehna hai, jaao keh do,
Jisse na milna chaho, usse bhi milo,
Kya pata phir, kal ho na ho.
Q: Hai andheri raat magar, diya jalana kab mana hai?

A:
Diya jalaoge to aandhi aayegi,
Batti jalaoge, light chali jayegi,
Woh chand bhi chhup jayega badalon ke peeche,
Roshni to sirf aapke chehre se aayegi.