Tuesday, November 25, 2008

Duniya se umeed nahi,
Umeed pe duniya hai kayam.
Umeed lagaye kyun baitha hai Samir,
Ye duniya hai badi jaalim.

Tuesday, November 18, 2008

Aaj subah jab aankh khuli,
Dekha, batti jal rahi hai,
Laptop chalu hai,
Rajai bhi nahi odhi hai.

Achambha to ye hua,
Ki alarm bhi nahi baja tha.
Phir yaad aaya,
Arre raat ko padhna tha.

Aaj to test hai,
Uske pehle class mein bhi jaana hai.
Utha, batti bhujai,
Laptop band kiya,
Aur wapas so gaya.

Adhe ghante baad ek phone aaya,
Dost ne bola, chal nashta karte hain,
Maine kaha haan dus minute mein aata hun,
Taiyar ho jaoon, phir class jaana hai.

Pahunch gaye nashta karne,
Socha class ke baad aur test ke pehle padh lenge.
Aaram se phir nashta kiya,
Uthayi cycle aur nikal pade.

Raste mein unse mulaqat hui,
Maine wave kiya, unhone smile pass ki,
Samay ki pabandi thi, hum chalte rahe apni apni disha,
Socha maine, ab din zaroor guzarge achchha.

Department pahunche,
Thodi padhai shuru kari,
Sir ka intezaar kar rahe the,
Par wo aaye hi nahi.

Class cancel ho gayee,
Main wapas hostel aa gaya.
Sahi socha tha maine subah,
Ye bhi samajh mein aa gaya.

Aaram se baithkar padhai ki,
Phir khana khaya, class gaye.
Test shuru hua, diya,
Bahar nikle, khush hue.

Phir yaaron ke saath 
Chai peene chal pade,
Wahan phir se dekha unko,
Mann hi mann shukrguzar hue.

Din hamara achchha nikla,
Khushi unse baatna chahte hain,
Yehi tamanna hai rab se meri,
Kaash unka bhi din achchha nikla ho.